Tuesday, March 6, 2012

ARTICLE

EK ASAFAL LEKHIKA AUR CHITRAKAR…MAIN...
YE SHABD NIRARTH HAI ….SIRF NIRARTH…..
MAIN ASAFAL HUN, MAIN HAAR GAYI HUN….ANANT QUDRAT KE AAGE
PEHLE MAIN BATAUNGI KI MAIN ASAFAL CHITRAKAR KAISE BANI?
MAINE DUNIYA DEKHI, BEPANAH KHOOBSOORAT NAZARE DEKHE, JANNAT DEKHI, DOZAKH DEKHI PAR WO SAB DEKHKAR MERE DIL ME JO JAZBAAT UTHE UNHE MAIN THEEK SE PAINTING PAR UTAAR NA SAKI, MAINE BANAYA TOH SAB KUCH PAR KUCH BHI NA BANA SAKI. MAIN NIHAYAT KHOOBSOORAT KUDRAT KE AAGE HAAR GAYI KYUKI USNE AISA KUCH NA CHODA JO MAIN SIRF MAIN BANA SAKTI THI, WHO TOH SAB KUCH HI BANA CHUKI THI PEHLE SE.
MAIN EK ASAFAL LEKHIKA BHI BANI KYUKI…….
JO SACCHE AHSAASAAT HOTE HAI SACCHE TAJURBE HOTE HAI UNHEIN KOI LAFZON MEIN BAYAN NAHI KAR SAKTA…JO LAFZ MAIN LIKHNA CHAHUN WO HAAR JATA HAI…. MERE AHSAAS KE AAGE….SAB NIRARTH HAI… MERI MAANO!
MAIN YUN TO HAAR MAAN CHUKI HUN LEKIN INSAAN HONE KE NAATE YE MERA DHARM HAI KI MAIN KOSHISH KARUN SO MAIN KARTI HUN LEKIN FIR BHI SAB KUCH NIRARTH PAATI HUN…….
AAKHIR MEIN JANAB IRRSHAD KAMIL KI PANKTIYA DOHRAUNGI….

“ JO BHI MAIN KEHNA CHAHUN… BARBAAD KARE ALFAAS MERE!”
AB DEKHIYE NAA SIRF AAKHIR KI EK LINE KEHNE KO MUJHE KITNA LIKHNA PADA HAI.